Aisa manzar zamaane mein dekha nahi // Saari duniya me aisa nazaara nahi

                                    ︗︗︗︗︗︗︗︗︗︗︗︗︗

         ❏┅╮ Urdu/Hindi/English╭┅❏

          ︘︘︘︘︘︘︘︘︘︘︘︘︘

┈┉┅━••••••🍃🌹Urdu🌹🍃••••••━┅┉┈

Coming SooN 

┈┉┅━••••••🍃🌹English🌹🍃••••••━┅┉┈

hia nazar mein jamaal e habibe khuda

jis ki tasweer seene me maujood hai

Jis ne laakar kalaame Ilaahi diya

Woh Muhammed, Madine mein maujood he

Phool khilte he par par ke salle Ala

Jhoom kar kehrahi hai yeh bade sabah

Aisi khushbu chaman ke ghulon me kahan

Jo Nabi ke pasine mein maujood hai

Jis ne laakar kalaame Ilaahi diya

Wo Muhammed, Madine me maujood hai

 

ChhorNa Tera Tayba gawaarah nahi

Saari duniya me aisa nazaara nahi

Aisa manzar zamaane mein dekha nahi

Jaisa manzar Madine mein maujood hai

Jis ne laakar kalaame Ilaahi diya

Wo Muhammed, Madine mein maujood hai

 

Hum ne maana ke jannat bohat hai hasin

Chhor  kar hum Madina ne jayein kahin

Yu-n to Jannat mein sab hai Madina nahi

Aur Janaat Madine mein maujood hai

 

Jis ne laakar kalaame Ilaahi diya

Wo Muhammed, Madine mein maujood hai

Woh Abu Bakr, Farooq, Usman, Ali

Hai yeh sab un ke deene Mubih ke Faqih

Wo Faqeeho  ke afsar shahe Ambiya

Wo Shahenshah Madine mein maujood hai

Jis ne laakar kalaame Ilaahi diya

Wo Muhammed, Madine mein maujood hai

Hai nazar mein jamaale habibe khuda

Un ki tasweer seene mein maujood hai

Jis ne laakar kalaame Ilaahi diya

Wo Muhammed, Madine mein maujood hai


┈┉┅━••••••🍃🌹Hindi🌹🍃••••••━┅┉┈

Coming SooN





Comments

Popular posts from this blog

مَولا یَ صَلِّ وَسَلِّم دَائِماََ إ بَدََا // Maula Ya Salli Wa Sallim Lyrics In Urdu/Arbi

Aankhon ka taara naame Muhammad ﷺ lyrics.

हम ना छोड़ेंगे तेरा दर मुर्शिद lyrics